Skip to main content

Posts

Featured

Do Biscuit

Karobar ke silsile me aksar main sheher se bahar hi rehta tha. Kabhi Mumbai, kabhi Gujarat. Plane se zyada mujhe train me safar karne me maza ata tha kyunki un lambe safar me bade hi dilchasp logo se mulaqat hoti rehti thi. Aise hi ek dilchasp khandaan se meri mulaqat delhi se Ooty jaati hui train me hui. Second AC ki 6 berth me se 5 par unlogo ka qabza tha. Bangla me baat kar rahe the magar meri samajhmein sab araha tha kyunki itna safar karne ki wajha se  nayi nayi zabane seekhne ko milti hai. Do din ke is safar me mujhe unka poora routine samajh aane laga tha. Kaafi waqt ke paband log the. Itni had tak ke vehshat hone lage. Subha 6 baje uthkar chai peete the. Phr 10 baje kuch poori sabzi jaisa wazandar nashta, phir dopahar do baje khana, phir sham 5 baje tak sona. Sham ko phir chai aur raat ko saadhe dus baje khana. Aur is waqt ki pabandi pe kisi ko aitraz bhi nahi tha. Mujhe to beech me hi itni baar bhook lagti thi ke har chai wale ko rok kar samosa wale ya kisi aur khane wale ko b

Latest Posts

Sky is the limit

Closure

Yaadon ka Khat

Providence

Social Stigma

Mahir

Ghubaar

Chandi ki Masjid

KHWAHISHEIN

Barf ke nishaan