Chandi ki Masjid (Urdu Story)

Mere nana ek gaon ke zamindar the. Us gaaon me unki ek badi si kothi hua karti thi. Us kothi me har garmiyon ki chhuttiyon me main aur meri behenein apne mamu ke bachcho ke sath badi saari yaadein banaya karte the. Nana ki lambi chaudi zameen me, waise to do teen masjidein thi. Par ek bahut hi khaas safed rang ki masjid thi jo hum sabko bahut pasand thi. Aise to wo masjid baqi masjido se chhoti thi par ek to wo ghar ke sabse paas thi, doosre wo humare nana ne khud banayi thi. Meri badi behen ne uska naam “chandi ki masjid” diya tha kyunki wo amawas ki raat me bhi door se chamakti dikhayi deti thi. Us masjid ki ek diwar pe false ke ped jhoolte the to hum sab masjid ke andar se deewar pe chadh chadh kar faalse jholi bharkar todte the. Masjid me darwaze se daakhil hote hi do chhoti chaukhat thi (seedhi jaise), aur phir ek chitkha tile tha, jo per me beecho beech apne toote hone ka ehsas dilata tha. Hum jab gaon jate the, us masjid ko ek baar kam se kam zaroor dhote the, saaf krte the, phir ek kaala nishan hum sabki taraf se ek kone ki deewar par laga dete the. Wo deewar ka kona jo kisiko asani se na dikhe. Agar kisi ko kabhi dikh jata to wo saaf krdeta, hum phir jakar kabi koyele, kabi Qalam se, phir se nishaan laga dete. Wo nishaan is baat ka saboot tha ke wo masjid mehfooz hai, aur humari hai, hum sabki. Jab zameenein humare nana ke bachcho me bati, ye masjid humare mamu ke hisse me hi ayi.

Baara saal guzar chuke the aur hum sab apni zindagi me masroof hogye. Itne saalo tak na main, aur na meri behnein gaon japayin. Bhai behno se bhi kabhi phone pe baat hojaya karti thi. Phir itna lamba safar ab koi karna bhi nahi chahta tha. Meri beti jab paida hui to mujhe ehsaas hua ke use qudrat se kuch alag hi lagao tha. Wo barish, ped, chidiyan aur thandi hawa se to khush hoti hi thi, bijli aur toofan ka bhi bht lutf uthati thi, jab ke main dar ke maare kahin chhupi bethi hoti thi. Ek baar dil me khayal aya ke main isko gaon lejaun. Wahan jane par mamu aur mami ne khatirdari se thaka diya. Meri beti to Khushi se pagal hi hogyi. Bahar nikal kar samne masjid dekhi to beti zid karne lagi lejane ko. Masjid ko dekhkar ye ehsas tha mujhe ke uspe abtak kai rang ki parte chadh chuki hain. Andar dakhil hote hi ehsas hua ke pero ke neeche koi chatkha hua tile nhi aya. Mamu ne marammat kab ki kara di thi. Faalse ke ped bhi ab deewar par nhi the, chhtayi hogyi thi. Jabtak meri beti andar kooda phandi kar rhi thi, main idhar udhar bas dekh rhi thi. Achanak mami ne peechhe se akar bola “Tumko to sab kuch naya naya lag rha hoga na?” Tabhi achanak meri nazar kone me lage kale nishaan par padi, jo kuch hi mahine purana lag rha tha. Maine ek ajeeb si khushi mehsoos krte hue kaha “Nahi to, sab waise ka waisa hi hai.”

Comments

Popular Posts