Yaadon ka Khat

Subha ki dhoop thi aur ek pyali garm chai ki
Wahin us mez ke kone pe mere naam ka khat tha

Lifafa chamchamata saaf aur kaali siyahi se
likha tha beeche me mera pata aur naam poora tha

Jo khat khola to saansein mehk utthi ek khushbu se
thi wo kuch jani pehchani si meri Catherine jaisi

Thi ik tasveer aali shan us Kofa pahadi ki
ke khinchi usne jo thi apne ghar ki ek khidki se

Likhayi thi bahut si uske peeche mutalif pen se
samajh aya ke saazish milke sab hi dosto ne ki

Kisi ne di duhayi chhodkar jane ki daftar se
kisi ne bas liya wada ke har dam raabta rakhna

Kisi ne ye kaha ke kyu tha jana hum ko bhi lelo
kisi ne di dua ke umr bhar bas naam roshan ho

Kelly ne bhi likha tha, tha kahin Linda ne kuch likkha
kahin Nina ne kone me banaya dil ka guldasta

Likha tha Mike ne ke hosle ke sath aage ja
likha tha John ne Tyler ne ab bas tang na karna

Wahin ek khat ke kone mein kahin ek daagh sa jhalka
thi wo baarish ki bunde ya kisi ka dil tha bhar aya
 
Usi ek dagh se milte kai phir dagh the bikhre
Ke ik khat me mere sab dost ke andaaz the milte

Hu khush kismat ki paya is qadar ka pyar un sab se
Ya phir ek khubsurat si kahani chhod aayi main

Ho jo bhi baat par aya maza mujhko ye khat padhke
Ke mere dost mujhko yaad karte hain duaon me

Subha ki dhoop thi aur ek pyali garm chai ki
Wahin us mez ke kone pe mere naam ka khat tha

Comments

Popular Posts