Ek Rikshaw Ki Aatm Katha
Hai ek zamana yaad mujhe
Jab rikshe dauda krte the
Tab na hi koi gaadi thi
Na scooter dekha karte the
Ho station ya ho chaupati
Sb humko hi tehlaate the
Manzil kitni bhi door ho par
Hum waqt pe hi pahchate the
Phir auto rikshaw karke jab
Ek gaadi ne entry payi
Har ek savari se wo phir
Umda saadhan hi kehlayi
Phir tez hui raftar bahut
Aur vikram,magic aagye
Allah hi jane kaun hai ye
Kyu humko ghair bana gaye
Ab metro ke aane se to
Koi humko yaad nhi rakhta
Koi rikshaw college jata tha
Ye bhi ehsas nahi rakhta
Hum aaj b station, chowk pe bas
ab intezaar hi karte hain
Koi soch purane din humko
Dekhega yehi dam bharte h
Hai ek zamana yaad mujhe
Jab rikshe dauda krte the
Tab na hi koi gaadi thi
Na scooter dekha karte the
Jab rikshe dauda krte the
Tab na hi koi gaadi thi
Na scooter dekha karte the
Ho station ya ho chaupati
Sb humko hi tehlaate the
Manzil kitni bhi door ho par
Hum waqt pe hi pahchate the
Phir auto rikshaw karke jab
Ek gaadi ne entry payi
Har ek savari se wo phir
Umda saadhan hi kehlayi
Phir tez hui raftar bahut
Aur vikram,magic aagye
Allah hi jane kaun hai ye
Kyu humko ghair bana gaye
Ab metro ke aane se to
Koi humko yaad nhi rakhta
Koi rikshaw college jata tha
Ye bhi ehsas nahi rakhta
Hum aaj b station, chowk pe bas
ab intezaar hi karte hain
Koi soch purane din humko
Dekhega yehi dam bharte h
Hai ek zamana yaad mujhe
Jab rikshe dauda krte the
Tab na hi koi gaadi thi
Na scooter dekha karte the
Comments
Post a Comment