Dost (Friends)

Ho wo gustakh, nikamme, ho maseeha k nawab
dost hote hain to kuch aish alag hote hain
Maine ek baar suna tha ye kisi teacher se
ke mere dost humesha hi ghalat hote hain

mere ischool me thi ek alag si ladki
log usko mera humsaaya kaha krte the
jab se dushman ki mere usne pitayi ki thi
tab se saare bade badmash usse darte the

Kiya tha jab wo baarwi me dharna maango ka
ek nayi dost bani thi unhi fasado me
Uski dhamki se saare fard humse darte the
Jaane kyun humko gina tha gaya nikammo me

Wo thi college me jabki proxy ki daant padi
Mere sab doston ne meri wakalat ki thi
Test me jab mere number sabhi se zyada the
Meri teacher ne bahut waqt tak hairat ki thi

The wo kuch Masters k dost mere sab se alag
Jinme kuch chup se the, kuch tez, kuch bht badmash
Aaj bhi jinke khayalo se main khush hoti hu
Sochti hu ke kabhi khatm na ho dosti kash

Mili pardes me pagli si wo ladki mjhko
Jo mere room ka hulya hi badal deti thi
kabhi khane kabhi badmashiyo se hairat de
Jo ghaltiyo pe gaaliyo se sabaq deti thi

do dost aur bhi hain kya main unki baat karu
Ek jo har waqt har ghadi me sada hazir tha
Doosra jo kabi sanjeeda ho nhi sakta
Par wo dono hi hain sachche ye kaha jata tha

Har koi dost banata hai naye shehro me
Rabta rehgya hai fabook Twitter tak hi
Phir bhi ek sabr hai ke dost sath hain mere
Chahe masroof ho duniya ki jhanjhato me hi

Ho wo gustakh, nikamme, ho maseeha k nawab
dost hote hain to kuch aish alag hote hain
Maine ek baar suna tha ye kisi teacher se
ke mere dost humehsa hi ghalat hote hain

Comments

Popular Posts