KHWAHISHEIN (Urdu Poem)
Humne bachpan se seekha tha
"Tm itni khwahish na paalo"
Abbu mulla kehte ye the
"beja shartein tm na daalo"
Yun to badhkar bhi bacche the
Thoda padhne me kacche the
Par abbu ki zid krne pe
Mana sab wade sachche the
"Rakhte hain khwahish na zyada
Bas exam me pass kro
Awwal aao ye na kehte
Bas naam na tm barbad kro"
College me awwal aane Par
Na meethe ko poochha mjhse
"Hai izzat ki Ab job mile"
Ye lafz kahe the abbu ne
Ek saal b ho na paya tha
Ab job ko k mulla ji ne
Thi than li ke shadi krlo
Kya krna waqt badhane se
Kr khair amal ye b Maine
Ab kaam me dhyan lagaya tha
"Ab bachcha hona lazim hai"
Sun kaano me khoon aaya tha
Kar teen maine mu par maare
Ab Dada the Abba pyare
Jab bistar ko akhir pakda
Sab khidmat krke the haare
Bas jaane k kuch din pehle
Mujhko sirhaane bithlaya
Bole "Ab PhD krlo"
Mujhko hairat ne sehlaya
Dil Chaha main bas bol padu
Buddhe bas kr ab maarega?
Khwahish na kr ab mjhse bas
Kya jaan hi lekr maanega?
Na hoti khatm hai insaa ki
Khwahish is Jeevan me sunlo
Jo paya hai usse khush ho
To smjho paya manzil ko
Humne bachpan se seekha tha
"Tm itni khwahish na paalo"
Abbu mulla kehte ye the
"beja shartein tm na daalo"
Comments
Post a Comment