Barf ke nishaan

Thand me barf ki chadar pe ye qadmo ke nishaa(n)
hoke gumnam kahan kis gali jate honge
kisi sarsabz se khushhaal base gaao(n) me
ya k sehraao ki tanhaayi me jate honge

kya pata inme koi ek nishaa(n) aisa ho
jo mere des mere ghar ki taraf jata ho
mere sab dost jahan chai peene jate the
wo usi chhote se dhabe ki taraf jata ho

wo ik makaa(n) jo hua zard barisho se hai
uski chaukhat pe lage phool to dekhe honge
uske zeeno pe kai khel ki yaadein hongi
uske chajje ki wo seelan bhi to dekhi hogi

wo daricha jahan mitti ki hai khushbu aati
wahan ammi ko qura(n) padhte to dekha hoga
meri behno ki hansi hai chhupi jis kamre me
wahin walid ka chhupa pyar to dekha hoga

kash hota pata wo kaun se do paon hain
jinke zariye wo khushi laut ke milti mjhko
hain jo chaurahe base is sheher ki galiyo me
unme khone ka dar hota na kabhi phr mjhko

thand me barf ki chadar pe ye qadmo k nishaa(n)
hoke gumnam kahan kis gali jate honge
kisi sarsabz se khushhaal base gaao(n) me
ya k sahrao ki tanhaayi me jate honge

Comments

Popular Posts