Safar e Inquilab (Urdu Poem)


Mere haseen se watan ko jalane walo
jo ban pade karo na hath kuch bhi ayega
hain dus jo aj to kal dus hazaar bhi honge
khoon to behgaya hai desh na bhulayega
 
Kiya jo humne irada hai ab to ye samjho
Kafan pehen lo, ke ab inquilab ayega

Tum apni simt karo jitna hi Hindu-Muslim
yahan hain bhai-behen rehte desh me mere
jo ho itraate ameeri ya apni quwwat pe
khareed pao to chhupne ki ek jagha lelo

Ke is junoon se ab kaun bach ke jayega
Kafan pehen lo ke ab inquilab ayega

Abhi se dargaye ab tak to mu nahi khola
ye kis wajha se kai log bhej rakhe hain?
Hai ik mayaar humara ye kinko bheja hai
Hain ye kiraye ke tattu kisi karam ke nhi

Asal jo samna ho tab to maza ayega
Kafan pehen lo ke ab inquilab ayega

Uthaye hath hain tumne jo aaj in sab par
Kahin kitab mein masoom the magan lekin
ghaseet kar kisi sadak pe daalkar tmne
Diya bayaan ke wo janleva the tumpar

Bas ab wo hath to mashaal hi uthayega
Kafan pehen lo ke ab inquilab ayega

Suni hain siskiyan zameen ki har ik maa ne
Duayein sabki hi mehfooz kar rhi hain humein
Tumhe ye ilm hai kitna hai hausla hummein?
Ho shak jo gar tumhe maidan me chale aao

ke Jooye aab se sailab ab to ayega
Kafan pehen lo ke ab inquilab ayega

Comments

Popular Posts