Faisle (Decisions)

Bachpan se ghalat faisle karne mein mujhe mahaarat haasil hai. Haalanki faisla karte hi ehsaas hojata tha k ghalat kiya par tab tak der hochuki hoti thi. Jab chhoti this to appi poochhti thi kaunsa khilona chahiye? Jis khilone pe hath rakhti thi usi me kuch gadbad nikalti thi. Ye bhi nahi bol pati thi k appi ne cheating ki. Appi ko pata tha k aise hi hoga har baar, to unko bhi tension nahi hoti thi k achha wala khilona mujhe miljayega. School jaate waqt jis din koi kitab bag se nikaal deti thi usi din usi mauzu ki extra class hojati thi. College me tour do hisso me jate the. Jis stream ko maine chuna, usi stream ka trip cancel hua. Kisi din chhatri nahi legayi to khoob barish hui aur jis din doosre raste se wapas aane ka socha usi din wo rasta band paaya.  Nashta banane khadi hui to socha and ke sath mein bread bhi garam krlu. Jabtak bread nikalne gayi anda jalgya, anda sambhalne bhaagi to bread zameen par... Matlab koi faisla jo maine sahi liya ho kabhi. Ek waqt aisa aya ke ammi ne bola "beta shadi karlo, koi pasand hai to bata do" ... Ab unko kya batau, jala hua anda to phir bhi khaya ja sakta hai, khud se faisla liya to shadi kaisi hogi uska Allah hi maalik hai. Ammi se bola, aap hi dekhiye apki marzi se hi karungi. Ab unpar aur pressure agaya ke mujh tak koi rishta aata hi nahi tha, wahin se (ammi ki taraf se) namanzoor. Waqt guzra aur dedh saal baad finally ek rishta mila. Mujhe bechare ladke pe bada taras aa raha tha ke kahan phansne ja raha hai. Sab logo ne bola ke hum apas me baat kiya karein ek doosre ko janne ke liye. Aise hi do hafte baad usne mujhse poochha "to kya socha hai tumne humare liye?" Main thodi der chup rahi phir maine khisiya ke kaha "main humesha ghalat faisle hi leti hu". Wo hans Kar bola "to ye wala mujhe lene do".


Comments

Popular Posts