Mukhtalif (Different/Unique) (Urdu Poem)

Bholi bhali pyari pyari bhoori aankhe lambe baal
Ek Pari ko jaise insano ki duniya bheja ho

Kehte to hai log ke sabse dari dari rehti thi wo
Maine to bhai usko toofano se ladte dekha hai

Waise to khamosh thi lekin bachcho ko danto tum gar
Chehre pe wo surkhi laati log sehem jate the sab

Teen ladkiyan aur wo ghar ka kaam akele dekha hai
Barso tak maine to ik mathe pe shikan bhi na dekhi

Pehli baar jo nikle ghar se apna rasta khud chunne
Ik aansu na girne diya ke hum kamzor na padjayein

Hanste hanste vida kiya to hum mein bhi himmat ayi
Apne khwab ko poora karke usko fakhr dila paye

Shayer hai, afsane likhti aur na jane kya kya gun
Rakhti hai par sabse jhuk kar milna usko ata hai

Hoti to sabki hi hai par mujhko aksar lagta hai
Is yaksaan si duniya me meri ma sabse hatkar hai


Comments

Popular Posts