Titihri (Lapwing bird) (Urdu Story)

Mere Abbu sarkari Naukri me the. Har ek do saal pe unka tabadla hojata tha to mujhe andaza tha ke bechare imaandar honge. Chhe saal me mujhe paanch baar naye school me dakhla karaya gaya. Har baar Naya sheher, naya school, naye log, naye ustaad, nayi zindagi. Jab main dus saal ki thi tab hum ek aisi jagha pahche jahan bahut saare bachche the, ek park tha aur khoob raat tak khelne ki ijaazat milti thi kyunki wo colony bahut safe thi. Do saal tak maine wahan bahut maza kiya. Mere dhero dost the. Do saal baad phir abbu ka tabadla hogya. Is baar mujhe nahi jana tha. Main bahut royi par ammi ne samjhaya ke bade hokar wapas dosto se milne asakti hu. Naye ghar aur school ki achhaiyo ki bhi lalach di gayi. Mere phir bhi na manne pe kuch zyada farq pada nahi. Mujhe wahan se rote hue hi lejaya gaya par hum nayi jagha pahuchgye. Us jagha koi bachcha aas paas nahi tha aur school me b boarding schools jaisi sakhti thi. Ek din ammi ne mujhse bola "yahan ke seb kitne bade bade hain na?". Maine mu sukodte hue kaha ... "Rehne dijiye... Yahan ki to titihri ki bhi kawwe jaisi awaz hai." Mera ye jawab sunkar Ammi khoob hansi, unhone Abbu ko b bataya. Par ye sach tha, wahan ke parindo ki ajeeb naqabile bardasht awaz thi. Ya shayed mujhe hi wo awaze nihayat takleefde lagti thi, maano wo b wahan khush na ho. School ke do mahine bhi nahi hue the ke main games room me table tennis khelne ke liye sathi dhund rhi thi. Achanak samne ek pyari si ladki scarf pehne meri taraf ayi aur boli "Main khelu tmhare sath?" Ye sunkar main to khushi se bas phool hi gayi thi ki mujhe akhirkar koi to mila.  Poore din hum dono jab mauka mila khelne sath aaye. Uska section alag tha par usse humari dosti pe koi farq pada nahi. 15 saal baad aaj bhi so meri itni hi achhi dost hai. Wo mujhe tab mili, jab mera koi na tha. Aaj bhi jab wo mere ghar aati h to hum dono baramde me bethkar khoob baate karte h. Usko titihri ki awaz bahut pasand hai. Jab bhi wo mujhse bolti hai "Titihri ki awaz kitni achhi lagti haina?"... Main hans kar bolti hu "Haan... Mujhe bhi."

Comments

Popular Posts