Lahore ki Ghadi

Mere chacha ko apne baramde me lagi Ghadi bahut aziz thi. Batwaare ke waqt mere dada ko Pakistan jana pada tha. Kai saal baad jab wo Hindustan wapas aaye to wo ye ghadi sath laye the jo unhone mere chacha ko tohfe me di thi. Purane design ki us ghadi ki ek mukhtasar si awaz thi jo har ghante pe bajti thi. Ammi, Abbi ke achanak inteqal hojane ke baad chacha ne meri poori zimmedari bina kisi jhijak ke leli thi. Us waqt main mehez 3 saal ka tha aur Waiz paida hone wala tha. Chachi ne bhi mujhmein aur waiz mein kabhi farq nahi kiya. Mere chacha ko waiz ne "abba" mere abba bolne pe hi shuru kiya. Apni us Ghadi ke liye wo mujhse bolte the "ye mujhe mera achha aur Bura waqt Yaad dilati rehti hai, aur main shukr ada karta hu ke mera bura waqt tala aur achha waqt aya". Na jane kitni baar us ghadi ko sambhlaya gaya magar abba ne wo ghadi chachi ke hazar baar naraz hone ke baad bhi raddi wale ko na di. Wo diwar jaise us ghadi ka ghar bangyi thi aur wahin usko dekhne ki humko adat hogyi thi. Isi chakkar me maine aur Waiz ne kai ghadiyan abba ko lakar di magar majal ke koi us Lahore ki ghadi ki jagha le sake. Abba ki mamuli naukri me wo kabi apna ghar na bana sake magar us kiraaye ke ghar me wo 45 saal rahe. Waiz ke nikah ke baad bht israar krne par bhi unhone mere ya Waiz ke sath humare zaati ghar me rehne ka irada na Kiya. Unke inteqal ke baad maine aur Waiz ne faisla liya k chachi mustaqil taur par mere sath rahengi aur Waiz ke paas aati jati rahengi. Ghar khali karte waqt jab samaan pack kar rahe the to diwar se ek marghilli si awaz sunayi di. Humne palat ke dekha to wo ghadi do ghanta peechhe chal rhi thi. Hum dono ko maloom tha ke  uski battery kam hai par aisa mehsus hua ke jaise wo bhi sog mana rahi thi. Jab ghar ek dum khali hogya aur main aakhri bag lekar bahar nikal raha tha tab makan malik naye kirayedaro ke sath andar agye. Unhone naye kirayedaro se mujhe milwaya aur phir khud phone ajane ki wajha se bahar baat krne chale gaye. Dono miyan biwi mujhse ghar me baare ke poochhte hue baramde tak aye, wahan unki nazar us ghadi pe padi. Unhone mujhse poochha ke maine ye ghadi pack kyu nahi ki. Main thodi der chup rehkar us ghadi ko dekhta raha. Phir maine kaha

"Ye Ghar ke sath hi mili thi"

Comments

Popular Posts