Khuddar

Har ek baat pe kehte ho tm ke tu kya hai,

Tumhi kaho ke ye andaaze guftagoo kya hai…



Mere abbu ka ye pasandeedah sher tha. Isko sunte hue bolte the “Zainab bibi! Samajh rahi hona? Iska matlab hai ke har insaan ko har ek se tameez se baat karni chahiye”, ye keh kar khud hi hans dete the. Humare ghar ki maali halat dekhkr koi bhi bata sakta tha ke abbu imaandar the. Railway ki naukri me badhte hue corruption ko dekhkar kaam se khush to nahi the, par mere aur ammi ke liye bas sahe ja rahe the. Har din koi na koi noto ki gaddi lekr ata, aur abbu use ulte pao wapas karte. Office me bhi abbu se zyada koi khush tha nahi, kyunki na wo khud paise khate the, na kisi aur ko apne samne khane dete the. Isiliye unke tabadle bhi hote rehte the. Mujhe bhi phir se naye school me naye dost banana padte the. Main kabhi kabhi gussa bhi hojati thi aur ammi se bolti thi “to kya badi baat hogyi? Lelein na paise, koi Khushi se hi de raha hai.” Piti bhi ammi se kai baar is baat pe. Magar ammi ko kabhi nahi dekha abbu pe gussa hote hue, balki humesha fakhr krte hi dekha. Jaise jaise waqt badhta gaya, abbu ke kandhe jhukte chale gaye. Mujhe dikhayi dene laga ke unki mushkile unki imaandari ki wajha se hain. Pehle wo Khushi se ghazlein sunte the, ab gham me sunne lage. Kuch arsa guzra aur ek taveel bimari ke baad, abbu ka inteqaal hogya. Unke sath sath meri hansi bhi kahin gum hogyi. Unke inteqal ke baad unki naukri mujhe mili. Training me hi log rishwat ke upar kaafi mazaq karte the aur mujhe dekhkr kehte the “Zainab madam! bhai aap to Javed sahab ki aulaad hain, aapse to humein koi ummeed nahi party ki”.  Unke taane zeher hone lage the. Ek din meri duty Rajdhani me lagi, Imtehaano ki wajha se bheed kaafi thi, aur kai log bina ticket ke bhi the. Maine ek ek karke logo ko nikaalna shuru kiya tabhi ek lambe chaude sahab mere samne aa khade hue. Unhone kapde aise shandaar pehne the jaise maine sirf TV pe dekhe honge. Unhone mere hath me ₹500 ke Che (6) note rakhe aur bole “kuch adjust karlijiye madam!” Maine zindagi me itne paise ek sath dekhe nahi the. Ek mazloom bachche ki trha maine unki taraf dekha. Pichhli seat par bethe hue ek sahab ke radio me se mujhe Chitra Singh ki awaz me sunayi diya.



 Har ek baat pe kehte ho tm ke tu kya hai

Tumhi kaho ke ye andaaze guftagoo kya hai…

Comments

Popular Posts