Alwida 2014 (Urdu Poem)

Na tha socha meri qismat me aisa saal ayega
K bas ek mauj ka shafqat bhara ye saal jayega

Shuru me ghoomne phirne ka mauqa Jo mila mjhko
Wo kaale coato ke aangan me tha jungle ka rang ghola
Jahan madam ne zyada zor se krdi mujhi se baat
Unhi k dosto ke samne Har pol ko khola

Gale lag kr kre rukhsat b aisa haal ayega
Na tha socha meri qismat me aisa saal ayega

Jo kaate the police chowki k chakkar 2 mahine tk
K Jo Ik sign Dede humko to shadi b hum karlein
Kara tha ADM se SHO tak ka Jo Wo peechha
K ghar pe, farm se Bazar tk unko wahin dharlein

Na tha unko tasawwur aisa pehredaar ayega
Na tha socha meri qismat me aisa saal ayega

Meri shadi pe ki Har waqt hai meri badi khatir
Waseem,aamir,sumon,atanu, ravi the har minute haazir
Bhari neeti ne thi bharpoor dua se meri jholi
Isi Sab me hai kaun apna mera ye aankh b kholi

Asal is dosti ko dil mera yun jaan payega
Na tha socha meri qismat me aisa saal ayega

Gayi Jo hawra k Raste ghar ko Naye apne
Mili ma baba ki us raat din ki khatiro se phr
Kiya mefuz Dada aur Didi ki mohabbat ne
Rahi Chacha k aur mama k ashirvad me main ghir

Wohi mahol ek masoom si Bugo b laayega
Na tha socha meri qismat me aisa saal ayega

Meri ammi ne poore saal ki bas dam dua mujhpr
Mere daddy ne bhi khushiya mjhe virse me hain dedi
Meri behno ka kya bolu k bas Wo jaan hain meri
Aur Ab Jo teen hain bandar hai ronaq Wo bhi to ghar ki

Aur ik shauhar k Jo Har mod pe Ab sath jayega
Na tha socha meri qismat me aisa saal ayega
K Ab ummeed hai aisa mera Har saal jayega

Comments

Popular Posts