Basta (School Bag) (Urdu Poem)

Koi dhoond ke deta mujhko to
Ek umr ki zehmat kam hoti
Kahin bhool ke bethi hu usko
Basta jo kitabo wala tha

Kuch baate likkhi parcho par
Kuch tooti pencil rakkhi thi
Us baste me meri saare
Bachpan ki yaadein rakkhi thi
 
English wali us copy par
Kuch naksha khinch banaya tha
Teacher k daant bhagane par
Bahar se khoob chidhaya tha
 
Kuch toffee ke kaaghaz se bhi
Gudiyo ki frockein bun li thi
Ek pencil k dabbe me wo
Chockein khariyan sab rakkhi thi
 
Badmashi ke qisso ka bhi
Ek baksa tha usmein shayed
Kuch dost purane the jo tb
Number unka bhi tha shayed
 
Har cheez purani jaise ab
Kuch hath se chhutti jaati hai
Us baste ki ab mjhko to
Bas yaad bht hi aati hai
 
Koi dhoond ke deta mujhko to
Ek umr ki zehmat kam hoti
Kahin bhool ke bethi hu usko
Basta jo kitabo wala tha

Comments

Popular Posts