Bulbule ... (Urdu Story)

Har aadmi ye bolta hai ke kisi bhi cheez ki adat ya lat lag jana ek buri baat hai. Aur jo bhi mujhe jaante hain, unko ye baat pata hai ke mujhe ek cheez ki bahut buri trha se lat lagi. aur wo hai coca cola ki lat. Jo meri coke ki sabse pehli yaad hai wo ek mele ki hai. Pata nahi kahan se ek khamba mere samne aya tha aur main us mele me bhaagte bhaagte usse takra kar girgaya tha.. shayed 7 saal ka tha.., bas phir kya tha.. cheekh cheekh kar maine apne ghar walo ko sabke saamne kaafi sharminda kiya, jabki ghalti bhi meri hi thi. Tabhi kahin se mere abba coke ka ek glass mere liye le aye aur mujhe behlane lage. Jab wo glass mere mu tak aya to uske bulbule phuaar ki tarha mere chehre pe pade… ek ajeeb sa sukun aur khushi ka ehsas hua mujhe, jaise sab theek hai,.. khubsurat hai. Uske baad se bas main coke ka aashiq hogya. Ammi ne maara.. coke khuli, teacher ne class ke bahar khada karke poore school me beizzati kari… coke khuli, girl friends ne chhoda… Do teen crate lage par kaam hogya, Goya hum coke ke samne har dukh se behis hojate the. Meri ammi kehti hain ye lat mujhe mere abba ke beinteha pyar ki wajha se lagi jismein wo mere liya poore poore crate laakar rakh dete the aur main do teen din me sab khatm kar deta tha. Pehle mujhe lagta tha ke ye baat itni waazeh nhi hai ke mujhe juice ya aur kisi sehat mand cheez se zyada coke pasand hai. Par dheere dheere mujhe samajh aya ke mere aas paas ke log ye baat ek hafte ke andar hi jaan lete the. Kai logo ne mujhe mana kiya ke main coke na piyu daant kharab hojayenge, liver kharab hojayega waghera waghera… kai had tak daant kharab hue bhi par coke mujhse chhooti nahi. Ammi ye bhi batati hain ke bachpan me ek baar meri saans atak rahi thi aur main paani nahi pi raha tha tab doctor ne unko mujhe coldrink dene ko bola tha. Kya pata ye lat tabhi se jaari ho. Dost bol bol kar haar gaye, ghar wale pareshan hogye, magar maine coke ka aur coke ne mera sath nahi chhoda…. Matlab kai saal tak nahi chhoda par phir waqt badalgya aur main naukri pesha hogaya, paise bachane laga. Dheere dheere coke meri zindagi se bahar hogyi aur meri doosri tarjiyaat (priorities) ne uski jagha leli. Coke ki yaad bhi mere zehen se dheere dheere khatm hogyi. Market me maine soft drinks ki taraf dekhna band kardiya aur parties me jaane ka waqt hota nahi tha mere paas. Ek din main ghar wapas aya to dekha mera 6 saal ka beta poore ghar me daud raha hai, phir ek jagha rukta hai, apna mu ek glass me daalta hai, kuch dekhta hai , phir bina kuch piye phir daudne lagta hai. Maine apni begham se poochha bhai ye kya majra hai? Isko kya hogya??? To meri biwi boli...
“Coke laayi hu iske liye, mu pe bulbule pad rahe hain to khushi se pagal horha hai”

Comments

Popular Posts